Aaj Us Ko Sochna Acha Laga
Jate Jate Akhri Lamhaat Main
Mud ke usko Dekhna achhaa laga
Zindagi bhar us ne jo kuchha bhi kiya
Us Ka Har Ek Faisla Achhaa Laga
Har Taraf Thi bawafa logo ki bheed
Ek Wo Hi Bewafa Achhaa Laga..
______________________________
Jab Teri Nigahon Main Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Phira Karte The
Aankhon Main Piyas Hua Karti Thi¬
Dil Main Toofan Hua Karte The
Log Aate The Gazal Sunane Ko
Hum Teri Batain Kiya Karte The
Kisi Veerane Main Tujh Se Mil Ke
Dil Main Kae Phool Khilla ya Karte The
Ghar Ki Deevar Sajane Ke Leye
Hum Tera Naam Likha Karte The
Wo Bhi Kya Din The Tuje Bhula Kar
Hum Tujhe Yaad Kia Karte The
Kal Tujhe Soch Kar Yaad Aaya
Hum Tujhe Pyar Kia Karte The
Nahi i Ban jata koi apna yunhi dil lagane se,
karni parti hai dua rabse sachha dost pane mein,
rakhna sambhalkar yeh yarana apna,
kahi tut naa jaye kisi or ke aane se.
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusuvai se darte hain,
Dil meih umang hai tujhse milne ki
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain
Aankhon ki zuban wo samajh nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate
Badi asaani se dil lgaaye jaate hain
Par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain
Le jaati hai mohabbat un raaho par
jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain
Hum apni nazar ka izhar isliye nahi karte kyon k
Hum unki han ya na se darte hain,
Agar haan kar di to khushi se mar jayenge,
Agar unhone naaa kardi to ro ro ke mar jayenge ,
Baat ye nahi k hum apni maut se darte hain,
Hamari maut pe beh na jaye unka ek ansoo bhi,
Kyou Ki hum un do ansuon ki kadar karte hain
jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai
Wo mere sabhi raastoon mein rahta hai
bichhad kar us se pereshan mein to hoon
par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai
Zindagi Udas Hone Ka Naam Nahi,
Dosti Sirf Paas Hone Ka Naam Nahi.
Agar Tum Door rehkar Bhi Hume Yaad Rakho,
Is Se Bada Hamare Liye Koi Inaam Nahi
9.) Phoolon ki har kali khushboo de aap ko,
Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Hum to kuch dene ke kaabil nahin,
Dene waala har khushi de aap ko.
10.) Dosti toh sirf ek ittefaaq hai, Yeh toh dilon ki mulaakaat hai, Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai, Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
11.) Log kehte hai ki itni dosti mat karo ke dost dil par sawar ho jaye. Hum kehte hain dosti itni karo ke dushman ko bhi tumse pyar ho jaye
12.) "Hum unka intezaar karte hi reh gaye...
Tumhari judaai ko sehte hi reh gaye...
Dil thamne ki koshish ki magar...
Ye kambakht aansu behte hi reh gaye..."
13.) Dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, humse tuta hua sisa dekha nahi jata, apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata
14.) "Jo sab dete hain wo hum nahi denge... Pyar jab bhi denge kam nahi denge... Yakin na aaye to aazma lena... Zindagi mein aapko kabhi gham nahi denge...."